>
>Kaash main tere haseen haath ka kangan hota
>Tu baray pyar say chaao say baray maan kay saath
>
>Apni naazuk si kalaai mein charhati mujh ko
>Aur baytabi say furqat kay khizan lamhon mein
>
>Tu kisi soch mein doobi jo ghumati mujh ko
>Main teray haath ki khushboo say mehek sa jata
>
>Jab kabhi "mood" mein aa kar mujhay chuma karti
>Tere honton ki hiddat say main dehek sa jata
>
>Raat ko jab bhi tu neendon kay safar par jati
>Marmareen haath ka ik takiya banaya karti
>
>Main teray kaan say lug kar kaee batein karta
>Teri zulfon ko teray gaal ko chuma karta
>
>Jab bhi tu bund qabaa kholnay lagti janaan
>Apni aankhon ko teray husn say kheera karta
>
>Mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha
>Main teri rooh kay gulshan mein mehekta rehta
>
>Main teray jism kay aangan mein khanakta rehta
>Kuchh nahin to yahi bay naam sa bandhan hota
>
>
>Kaash main teray haseen haath ka kangan hota
[
Next Thread |
Previous Thread |
Next Message |
Previous Message
]