>>
>>Kaash main tere haseen haath ka kangan hota
>>Tu baray pyar say chaao say baray maan kay saath
>>
>>Apni naazuk si kalaai mein charhati mujh ko
>>Aur baytabi say furqat kay khizan lamhon mein
>>
>>Tu kisi soch mein doobi jo ghumati mujh ko
>>Main teray haath ki khushboo say mehek sa jata
>>
>>Jab kabhi "mood" mein aa kar mujhay chuma karti
>>Tere honton ki hiddat say main dehek sa jata
>>
>>Raat ko jab bhi tu neendon kay safar par jati
>>Marmareen haath ka ik takiya banaya karti
>>
>>Main teray kaan say lug kar kaee batein karta
>>Teri zulfon ko teray gaal ko chuma karta
>>
>>Jab bhi tu bund qabaa kholnay lagti janaan
>>Apni aankhon ko teray husn say kheera karta
>>
>>Mujh ko betaab sa rakhta teri chaahat ka nasha
>>Main teri rooh kay gulshan mein mehekta rehta
>>
>>Main teray jism kay aangan mein khanakta rehta
>>Kuchh nahin to yahi bay naam sa bandhan hota
>>
>>
>>Kaash main teray haseen haath ka kangan hota
[
Next Thread |
Previous Thread |
Next Message |
Previous Message
]